Friday, January 6, 2012

Baba Ki purva Chetaawani

Author - Manoj Kumar
Jab mai teenager thaa mujhe bhi bada shauk thaa ki mujhe bhi koi love kare... meri bhi koi girl friend ho... but aisa kabhi hota nahi thaa... main apne friends ko dekhta thaa unme se kaiyo ki girl friends hua karti thi... Fir mainne socha chalo kisi baba se milte hain, baba ke paas pahucha... pahuche hue Bengali Baba the- hast rekha vishshgya... bade lambe intazaar ke baad unhone jab mera haath dekhaa, sab kuchh bola lekin jo main sunane ko aaya thaa wo bataya nahi, fir mujhse raha nahi gaya... puchha baba aur kuchh to batao, koi ladki mujhe love karegi ya nahi? Baba ne kaha beta, tumhare life ka ye sabse bada dukhad pahlu hai... tu ladkiyo se dur hi rahna... isse jyada main tujhe is baare me kuchh aur nahi bata sakta.  Baba ki baat kadwi thi par bahot sachchi thi...Par main kabhi bhi khud ko ladkiyo ke charm se dur na rakh saka...( us daur ki films shaayad is liye jyada jimmewaar hain, most of them were love stories aur love stories mujhe bahot pasand hai...) haa ye alag baat hai ki kisi ladki ke najdeek bhi jyada nahi jaa saka... but ek ladki jo shaadi ke baad mere life me aayi, usne wo sabak diyaa jo baba ki baat hamesha mere mano mashtishk me chhod gayi hai.

--------------------------------------------------------------------
मित्रों यदि मेरा यह पोस्ट आपके दिल को जरा भी छू कर गुजरा हो तो मुझे विश्वास है कि आप मेरे इस प्रयास को लाइक दे कर मुझे और भी अच्छा लिखने की प्रेरणा, स्नेह और आशीर्वाद देंगे। आप अगर मुझे मेरे फेसबुक प्रोफाइल पर फॉलो करते हैं तो आपको मेरे शेयर किये सारे पोस्ट्स आपके नोटिफिकेशन्स में मिलते रहेंगे। 

No comments:

Post a Comment

India in 2050 : on course of becoming an economic superpower and alleviating poverty

Day before yesterday I was discussing with my friends how despite so much of progress we have failed to provide the living standard to maj...